Introduction About My Self : Who is Abid : The Founder And Owner of Buddybaz

 Introduction About My Self : Who is Abid   The Founder And Owner of Buddybaz 






Bahut sare logo ka Mujse se sawal araha he. Kuch log Muje Mil rahe to puch rahe. Ki Bhai tu kar Kya Raha he. Ye Buddybaz kya he ? YouTube channel ka nam kya he. Ye sab. Me inshallah is Blog ke Jariye Me apko Sare sawalo ke jawab dunga.



Me Alhamdulillah Ek Senior Accountant hu. iske sath Sath Alhamdulillah mere Pass bahut sare Hunar he jese Website Banana, E Commerce ka Knowledge, Ecommerce Maintain Knowledge, SEO (Search Engine Optimization), Blog Likhna , YouTube par Video Banana, Software ka Knowledge aor sath Sath me Alhamdulillah ek Sana khawan E Mustafa ﷺ Bhi hu. 
Buddybaz Meri website aor Company hai. Jisko mene 3 sal phele Banayi thi. Usko banane ka maksad ap pura honga Alhamdulillah. Ye Website me mene Bahut article (blog) Likhe he. 
Jese Agar ap Google par likhenge "sabse jyada download hone wala game". To Sabse phela mera Article Dikhega. Ye Website ki Value bhi alhamdulillah bahut achi he.

Website se ham paise kama sakte he. Meri Website alhamdulillah Google Adsense me approved he aor Google News ka approval bhi he. Jo bahut kam logo ko milta he. Agar ap meri website par jayenge to apko advertisement dikhaegi Google hame is ad dikhane ka Paisa deta he Jiski kamayi Dollar me hoti he.

Raha Sawal Video aor Dusre kamo ka me Wo aplogo ko nhi bata sakta. 
Mere Jo sapne te Alhamdulillah Mere huzur ﷺ ke Sadke Sab pure Ho gaye. Ab Ek bada Khwab he jo Alhamdulillah me uske bahut karib hu. Me Sari Chije apko nhi bata sakta jab wo Khawab pura honga tab Sab log Shock ho jayenge.

Bahut se logo ka Mene Jo video Banayi thi to Reaction aya tha. Bahut logo ne meri tarif ki kuch logo ne bola ye to bahut Asan he. Par me ek bat batadu mene wo video sirf ek Trial ke liye banayi thi. 

Muje yahi lagta tha ki video banana bahut Easy he camera chalu karo aor bolo par ye sab galat he kyuki mene ek video ke liye kayi Ghante barbad kiye. Bahut sare retakes liye. Wese hi Meri Website ke liye bhi bahut dino se mehnat ki fir kamyabi mili. 

Google Adsense ka approval ke liye bahut mehnat ki. Aor apne article ko Google ke First' page par Lana mamuli bat nhi he. Kayi din rat ek kiye . Kitni sari coding ki. Koi bhi Chiz Dur se achi lagti he. Jab ap uske pas jao to haqikat pata chalti.
To mene is Blog me mere sare sawalo ke jawab de diye he.

No comments:

Theme images by Flashworks. Powered by Blogger.